Humare baare mein

SarkariKit ek free online tools website hai jo sarkari exam, scholarship aur online forms bharne waalon ki madad ke liye banayi gayi hai. Hum exam photo aur signature resize, thumb impression, JPG se PDF, GST calculator, GST invoice maker, EMI, SIP, salary calculator aur Hindi AI prompt generator jaise tools Hindi mein dete hain.

Hum kaun hain

Yeh website Yashvik Online Services Private Limited dwara chalayi jaati hai, jo Ministry of Corporate Affairs mein registered company hai.

  • CIN: U47912BR2024PTC070661
  • Registered office: Ward No. 13, Kapraul Siroman, Sitamarhi, Bihar – 843302

Humara vaada

  • Privacy: Tools aapke browser mein chalte hain. Login karke aap khud jo cheez "Locker mein save" karein, sirf wahi aapke private account mein rehti hai.
  • Sahi jaankari: Exam-wise size ki jaankari official notification se milaakar di jaati hai, source aur "last verified" tareekh ke saath.
  • Free: Saare tools muft hain.

Zaroori soochna

SarkariKit kisi bhi sarkari vibhag, aayog ya board se juda nahi hai. Antim jaankari ke liye hamesha official website aur notification dekhein.

Last updated: 20 October 2026